Friday, October 22, 2010

chand shabd.....

In khokhle alfaazon me rakha hi kya tha,
Haal-e-dil to bayaan hota nahi..

Jinhe khone ka darr na tha,
Unhi ke diye zakhm se ab bach sakte nahi.

Raahein to anginat hain,
Par manzil ka pata nahin..
Jitna bhi badhlo aage,
Yaadein magar dhundhlaati nahin.

Behne do ab in ashkon ko,
Toot jane do ye bandhan sab,

Kab tak aas lagaye karein duayaein,
Jab laut ke unhe aana hi nahin..

2 comments: