Aaj fir kuchh gungunane ko jee chaha,
Ghazal ek nayi fir banaane ko jee chaha.
Saaton suron ki sargam ko,
Yunhi baar baar gale lagane ko jee chaha.
Ghamon ka pinjara tod
Ek nayi udaan bharne ko jee chaha.
Sagar ki leheron sang
Kahin door beh jaane ko jee chaha.
Khushnuma hai mahaul aisa
Isme doob jane ko jee chaha.
Kahin khalal na pade ab isme,
Kuchh aisa samaa bandhne ko jee chaha,
Kya khoob hai vo,
Jiske aate hi fir ek baar muskuraane ko jee chaha
Khil si uthi hai ye zindagi
Isme ab rang naye bharne ko jee chaha
Khush hun mai is ek ehsaas se,
Ki aaj fir ek baar muhabbat ko jeene ka jee chaha!
Beautiful ! Specially last two lines.
ReplyDeleteI thnk The name of the poem could just be right if you said " Jee Chaha "
amazing!! hamesha aise hi khush rha karo :-)
ReplyDelete@ dada.. point taken.. thanks for the read!
ReplyDelete@dhawal... :) :)
Nice blog.
ReplyDelete................
…ब्लॉग चर्चा में आप सादर आमंत्रित हैं।
@ ज़ाकिर अली ‘रजनीश’ ...thankyou sir
ReplyDeleteword ka kya sahi use kiya realy ... Gud Yaar plz evry time send me a link on my mail id 9912345678@yahoo.com Vishal joshi
ReplyDeletethank you vishal..
ReplyDeleteu can subscribe to the blog for all updates:)