Monday, September 20, 2010

Aaj Fir Kuchh Gungunane Ko Jee Chaha

Aaj fir kuchh gungunane ko jee chaha,
Ghazal ek nayi fir banaane ko jee chaha.

Saaton suron ki sargam ko,
Yunhi baar baar gale lagane ko jee chaha.

Ghamon ka pinjara tod
Ek nayi udaan bharne ko jee chaha.

Sagar ki leheron sang
Kahin door beh jaane ko jee chaha.

Khushnuma hai mahaul aisa
Isme doob jane ko jee chaha.

Kahin khalal na pade ab isme,
Kuchh aisa samaa bandhne ko jee chaha,

Kya khoob hai vo,
Jiske aate hi fir ek baar muskuraane ko jee chaha

Khil si uthi hai ye zindagi
Isme ab rang naye bharne ko jee chaha

Khush hun mai is ek ehsaas se,
Ki aaj fir ek baar muhabbat ko jeene ka jee chaha!